Abhishek Shukla

aankhon pe shab raqam bhi nahin kar sakunga main

Abhishek Shukla

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1985
āñkhoñ pe shab raqam bhī nahīñ kar sakūñgā maiñ
ai ḳhvāb terā ġham bhī nahīñ kar sakūñgā maiñ
ik mustaqil safar hai tirī aarzū mujhe
aur ḳhud ko tāza-dam bhī nahīñ kar sakūñgā maiñ
us ko ḳhudā banāne kī zid par aḌā hai tū
ai dil jise sanam bhī nahīñ kar sakūñgā maiñ
sabza bhī chāhtī haiñ tasavvur kī ḳhaak par
vo āñkheñ jin ko nam bhī nahīñ kar sakūñgā maiñ
ik jaan hai jo nazr guzārī na jā.egī
ik sar hai jis ko ḳham bhī nahīñ kar sakūñgā maiñ
terī kamī meñ roz izāfa karegī umr
aur is kamī ko kam bhī nahīñ kar sakūñgā maiñ
Top Urdushayar.com