Bahadur Shah Zafar

pan kha kar surma ki tahrir phir khinchi to kya

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862

paan khā kar surma tahrīr phir khīñchī to kyā

jab mirā ḳhuuñ ho chukā shamshīr phir khīñchī to kyā

ai muhavvis jab ki zar tere nasīboñ meñ nahīñ

ne mehnat bhī pai-e-iksīr phir khīñchī to kyā

gar khiñche siine se nāvak ruuh qālib se khīñch

ai ajal jab khiñch gayā vo tiir phir khīñchī to kyā

khīñchtā thā paañv merā pahle zanjīr se

ai junūñ ne mirī zanjīr phir khīñchī to kyā

daar par us ne khīñchā jab sar-e-bāzār-e-ishq

laash bhī merī pai-e-tashhīr phir khīñchī to kyā

khīñch ab naala koī aisā ki ho us ko asar

ne ai dil āh-e-pur-tāsīr phir khīñchī to kyā

chāhiye us tasavvur se naqsha khīñchnā

dekh kar tasvīr ko tasvīr phir khīñchī to kyā

khīñch le avval se dil inān-e-iḳhtiyār

ne gar ai āshiq-e-dil-gīr phir khīñchī to kyā

kyā huā aage uThā.e gar 'zafar' ehsān-e-aql

aur agar ab minnat-e-tadbīr phir khīñchī to kyā

Top Urdushayar.com