Bahadur Shah Zafar

ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862

mujhe afsar-e-shāhāna banāyā hotā

mirā taaj gadāyāna banāyā hotā

apnā dīvāna banāyā mujhe hotā ne

kyuuñ ḳhirad-mand banāyā na banāyā hotā

ḳhāksārī ke liye garche banāyā thā mujhe

kaash ḳhāk-e-dar-e-jānāna banāyā hotā

nashsha-e-ishq gar zarf diyā thā mujh ko

umr tañg na paimāna banāyā hotā

dil-e-sad-chāk banāyā to balā se lekin

zulf-e-mushkīñ tire shāna banāyā hotā

sūfiyoñ ke jo na thā lā.eq-e-sohbat to mujhe

qābil-e-jalsa-e-rindāna banāyā hotā

thā jalānā agar dūri-e-sāqī se mujhe

to charāġh-e-dar-e-mai-ḳhāna banāyā hotā

shola-e-husn chaman meñ na dikhāyā us ne

varna bulbul ko bhī parvāna banāyā hotā

roz māmūra-e-duniyā meñ ḳharābī hai 'zafar'

aisī bastī ko to vīrāna banāyā hotā

Top Urdushayar.com