Bahadur Shah Zafar

hote hote chashm se aaj ashk-bari rah gai

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
hote hote chashm se aaj ashk-bārī rah ga.ī
aabrū baare tirī abr-e-bahārī rah ga.ī
aate aate is taraf un kī savārī rah ga.ī
dil kī dil meñ ārzū-e-jāñ-nisārī rah ga.ī
ham ko ḳhatra thā ki logoñ meñ thā charchā aur kuchh
baat ḳhat aane se tere par hamārī rah ga.ī
TukḌe TukḌe ho ke uḌ jā.egā sab sañg-e-mazār
dil meñ ba.ad-az-marg kuchh gar be-qarārī rah ga.ī
itnā miliye ḳhaak meñ jo ḳhaak meñ DhūñDe koī
ḳhāksārī ḳhaak kī gar ḳhāksārī rah ga.ī
aao gar aanā hai kyuuñ gin gin ke rakhte ho qadam
aur koī dam kī hai yaañ dam-shumārī rah ga.ī
ho gayā jis din se apne dil par us ko iḳhtiyār
iḳhtiyār apnā gayā be-iḳhtiyārī rah ga.ī
jab qadam us kāfir-e-bad-kesh kī jānib baḌhe
duur pahuñche sau qadam parhez-gārī rah ga.ī
khīñchte hī teġh adā ke dam huā apnā havā
aah dil meñ ārzū-e-zaḳhm-e-kārī rah ga.ī
aur to ġham-ḳhvār saare kar chuke ġham-ḳhvārgī
ab faqat hai ek ġham kī ġham-gusārī rah ga.ī
shikva ayyārī kā yāroñ se bajā hai ai 'zafar'
is zamāne meñ yahī hai rasm-e-yārī rah ga.ī
Top Urdushayar.com