Bahadur Shah Zafar

sab rang mein us gul ki mere shan hai maujud

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862

sab rañg meñ us gul mire shaan hai maujūd

ġhāfil zarā dekh vo har aan hai maujūd

har taar dāman ke mire kar ke tabarruk

sar-basta har ik ḳhār-e-bayābān hai maujūd

uryāni-e-tan hai ye ba-az-ḳhil.at-e-shāhī

ham ko ye tire ishq meñ sāmān hai maujūd

kis tarah lagāve koī dāmāñ ko tire haath

hone ko ab dast-o-garebān hai maujūd

letā rahā raat tire ruḳh balā.eñ

pūchh le ye zulf-e-pareshān hai maujūd

tum chashm-e-haqīqat se agar aap ko dekho

ā.īna-e-haq meñ dil-e-insān hai maujūd

kahtā hai 'zafar' haiñ ye suḳhan aage sabhoñ ke

jo koī yahāñ sāhib-e-irfān hai maujūd

Top Urdushayar.com