tumhīñ  batāo  vo  kaun  hai  jo  har  ek  lamha  satā  rahā  hai
na  niiñd  rātoñ  ko  aa  rahī  hai  na  chain  din  ko  hī  aa  rahā  hai
ye  ashk  dāman  bhigo  rahe  haiñ  ye  āñkheñ  suujī  huī  haiñ  merī
maiñ  ek  jalve  kī  us  ke  tālib  magar  vo  parde  girā  rahā  hai
tavāf-e-ka.aba  ko  dekh  to  le  taḌap  rahā  hai  vajūd  merā
na  paañv  ab  mere  uTh  rahe  haiñ  na  sāmne  ghar  vo  aa  rahā  hai
maiñ  ek  majbūr  nā-tavāñ  sī  za.iif  bandī  huuñ  us  se  tālib
tamāshā  chup-chāp  dekhtā  hai  kahāñ  taras  mujh  pe  khā  rahā  hai
tujhe  usī  kī  qasam  hai  maulā  hai  tujh  ko  mahbūb  do  jahāñ  meñ
vo  apne  jalve  dikhā  de  mujh  ko  jo  tū  nazar  se  chhupā  rahā  hai
har  ek  tadbīr  be-asar  hai  na  jī  rahī  huuñ  na  mar  rahī  huuñ
junūn-e-ishq-e-ḳhudā  hī  logo  ye  haal  merā  banā  rahā  hai