un  ke  adnā  ġhulām  ho  kar  bhī
ham  rahe  ḳhaas  aam  ho  kar  bhī
bevafā.ī  na  kī  samundar  se
mauj  ne  be-lagām  ho  kar  bhī
dil  kī  duniyā  na  kar  sake  raushan
aap  māh-e-tamām  ho  kar  bhī
kaise  rāvan  kā  kaam  kar  baiThe
naam  ke  aap  raam  ho  kar  bhī
ham  nahīñ  tere  pyaar  ke  laa.eq
qābil-e-ehtirām  ho  kar  bhī
pyaar  karne  kī  bhuul  kar  baiThā
shaḳhs  vo  nek  naam  ho  kar  bhī
pyāsī  pyāsī  hī  rah  ga.ī  'bādal'
zindagī  nazr-e-jām  ho  kar  bhī