duur  hī  se  nihār  leñge  ham
tum  ko  sharminda  kyā  kareñge  ham
sūfiyoñ  kī  tarah  jiyeñge  ham
dard  meñ  raqs  bhī  kareñge  ham
muskurā  kar  karo  hameñ  ruḳhsat
tum  bhī  ro.e  to  kyā  kareñge  ham
de  ke  jaate  ho  zindagī  kī  duā
kyā  tumhāre  binā  jiyeñge  ham
apne  ghar  meñ  bhale  laḌeñ  jhagḌeñ
ek  hī  chhat  tale  raheñge  ham
pahle  māñ-bāp  kī  kareñ  ḳhidmat
bāl-bachche  bhī  paal  leñge  ham
iid  kā  roz  hai  chalo  'bādal'
aaj  un  se  gale  mileñge  ham