huuñ  maiñ  bhī  sho.abada  koī  duniyā  ke  sāmne
hairān  ho  rahī  hai  mujhe  pā  ke  sāmne
zarre  ne  aaj  apnī  haqīqat  ko  pā  liyā
zarra  na  sar-nigūñ  huā  sahrā  ke  sāmne
uksā  rahī  hai  koī  ḳhalish  der  se  mujhe
rakh  dil  sā  phuul  ḳhār-e-tamannā  ke  sāmne
ḳhalvat  meñ  kar  rahā  thā  gunāhoñ  kā  e'tirāf
hoñToñ  ko  vā  na  kar  sakā  duniyā  ke  sāmne
'āsif'  tamām  marhale  āsān  ho  ga.e
Thahrī  na  ik  chaTān  bhī  dariyā  ke  sāmne