aa  gayā  īsār  mere  halqa-e-ahbāb  meñ
phir  kisī  sho.ale  ne  paa.ī  hai  numū  barfāb  meñ
kah  rahī  hai  sāhiloñ  se  Dūbne  vaale  kī  laash
maiñ  ne  paayā  hai  sukūñ  ik  muztarib  girdāb  meñ
kaañp  uTThā  huuñ  varūd-e-bārish-e-mau.ūda  par
ġharq  hone  ko  hai  saarā  shahar  sail-e-āb  meñ
mere  hāthoñ  meñ  agar  taqdīr-e-sub.h-o-shām  ho
titliyāñ  ta.abīr  kī  rakh  duuñ  kitāb-e-ḳhvāb  meñ
ḳhaak  ke  putle  ne  āḳhir  kar  diyā  ifshā  use
dafan  thā  jo  raaz  ab  tak  sīna-e-mahtāb  meñ
sāmne  kī  chiiz  meñ  'āsif'  nahīñ  koī  kashish
tak  na  yuuñ  hairat  se  apne  aks  ko  tālāb  meñ