phūloñ  se  hogī  dhuul  judā  dekhte  raho
manzar  nikhār  degī  havā  dekhte  raho
lā.egī  rañg  laġhzish-e-pā  dekhte  raho
manzil  bhī  degī  apnā  patā  dekhte  raho
haañ  bazm  meñ  kisī  ke  garebān-e-gosh  tak
pahuñchegā  merā  dast-e-sadā  dekhte  raho
nīndoñ  meñ  kho  ke  sīpiyāñ  ḳhvāboñ  kī  dosto
chunñe  ko  hai  ye  dīda-e-vā  dekhte  raho
kab  āftāb-e-tāza  kī  pahlī  shuā  se
hotī  hai  chaak  shab  kī  ridā  dekhte  raho
us  kaj-adā  kī  samt  ba-īñ  jaur-e-mustaqil
'āsif'  ba-tarz-e-ahl-e-vafā  dekhte  raho