naved-e-yaum-e-bahārāñ  ḳhizāñ  se  zāhir  ho
misāl-e-saut-e-pareshāñ  fuġhāñ  se  zāhir  ho
tujhe  gumāñ  hai  agar  ḳhud  pe  lafz-e-raushan  kā
ridā-e-shabnam-e-ijz-e-bayāñ  se  zāhir  ho
chamak  uThe  mirī  āñkhoñ  meñ  ashk  kī  sūrat
jo  aag  dil  meñ  hai  raushan  zabāñ  se  zāhir  ho
kisī  bhī  samt  se  ubhre  sitāra-e-āvāz
nahīñ  ye  qaid  ki  vo  āsmāñ  se  zāhir  ho
vo  kā.enāt  kā  ḳhāliq  sahī  magar  'āsif'
yaqīñ  hai  ḳhud  pe  use  to  gumāñ  se  zāhir  ho