Shahida Hasan

charagh-e-sham hi tanha nahin hai

Shahida Hasan

Chatgaon, Bangladesh

1953
charāġh-e-shām hī tanhā nahīñ hai
havā maiñ ne bhī ghar dekhā nahīñ hai
vo bādal hai magar is dasht-e-jāñ par
abhī dil khol kar barsā nahīñ hai
mohabbat ik hisār-e-be-nishāñ hai
lahū meñ dā.era bantā nahīñ hai
bikhartī jā rahī huuñ aur ḳhush huuñ
simaTne meñ koī sachchā nahīñ hai
ḳhoshā ai rū-e-shāḳh-e-sabz tujh par
sarāb-e-ā.īna khultā nahīñ hai
tujhe dekhā hai jab se shām-ālūda
mirī āñkhoñ meñ din utrā nahīñ hai
maiñ kyuuñ dekhūñ hujūm-e-mahr-o-mah ko
mirī tanhā.iyoñ meñ kyā nahīñ hai
nahīñ jaate haiñ dukh ab aa ke ghar se
ki ye aanā tirā aanā nahīñ hai
bhaTak jā.eñgī rāteñ jis ke hāthoñ
abhī us ḳhvāb kā charchā nahīñ hai
zabāñ gum thī asar ke zā.iqoñ meñ
tirā mujrim lab-e-goyā nahīñ hai
Top Urdushayar.com