Shahida Hasan

charagh-e-sham hi tanha nahin hai

Shahida Hasan

Chatgaon, Bangladesh

1953

charāġh-e-shām tanhā nahīñ hai

havā maiñ ne bhī ghar dekhā nahīñ hai

vo bādal hai magar is dasht-e-jāñ par

abhī dil khol kar barsā nahīñ hai

mohabbat ik hisār-e-be-nishāñ hai

lahū meñ dā.era bantā nahīñ hai

bikhartī rahī huuñ aur ḳhush huuñ

simaTne meñ koī sachchā nahīñ hai

ḳhoshā ai rū-e-shāḳh-e-sabz tujh par

sarāb-e-ā.īna khultā nahīñ hai

tujhe dekhā hai jab se shām-ālūda

mirī āñkhoñ meñ din utrā nahīñ hai

maiñ kyuuñ dekhūñ hujūm-e-mahr-o-mah ko

mirī tanhā.iyoñ meñ kyā nahīñ hai

nahīñ jaate haiñ dukh ab aa ke ghar se

ki ye aanā tirā aanā nahīñ hai

bhaTak jā.eñgī rāteñ jis ke hāthoñ

abhī us ḳhvāb charchā nahīñ hai

zabāñ gum thī asar ke zā.iqoñ meñ

tirā mujrim lab-e-goyā nahīñ hai

Top Urdushayar.com