vo  mere  shahr  meñ  aayā  munāfiqat  kyā  hai
ye  us  ne  aa  ke  batāyā  munāfiqat  kyā  hai
mire  ḳhulūs  ko  samjhā  gayā  hai  nādānī
fareb  sāmne  khāyā  munāfiqat  kyā  hai
sabhī  ko  ilm  hai  Dasnā  hai  saañp  kī  fitrat
phir  is  meñ  us  kī  ḳhudāyā  munāfiqat  kyā  hai
vo  phir  se  haath  milāne  ko  mere  paas  aayā
savāl  maiñ  ne  uThāyā  munāfiqat  kyā  hai
simaT  ke  baiTh  gayā  huuñ  maiñ  ek  kone  meñ
mirī  samajh  meñ  jo  aayā  munāfiqat  kyā  hai
zamīn  achchhī  lagī  sher  kahne  kī  ḳhātir
so  maiñ  radīf  ye  laayā  munāfiqat  kyā  hai