ye  mire  chār-sū  ik  tamāshā  lage
ālam-e-rañg-o-bū  ik  tamāshā  lage
dekh  chāroñ-taraf  ik  tamāshā  lagā
chāhtā  thā  na  to  ik  tamāshā  lage
dar-haqīqat  ye  koī  tamāshā  nahīñ
jo  tujhe  hū-ba-hū  ik  tamāshā  lage
rañg  uḌnā  munāsib  hai  mai-ḳhvār  kā
TūTne  se  subū  ik  tamāshā  lage
phūTe  zaḳhm-e-jigar  aur  bahe  aañkh  se
taaza  taaza  lahū  ik  tamāshā  lage
apne  āshuftagāñ  kī  ḳhabar  lene  aa
yā  tire  rū-ba-rū  ik  tamāshā  lage
jā  ke  allāh  ke  ghar  manā.eñ  use
aaj  kar  ke  vuzū  ik  tamāshā  lage
miTTī  zarḳhez  ho  yā  na  ho  dasht  kī
bahar-zauq-e-numū  ik  tamāshā  lage