ajiib  shor  hai  saarā  jahān  boltā  hai
mire  yaqīn  ke  aage  gumān  boltā  hai
use  kaho  ki  vo  hissa  bane  kahānī  kā
ye  jo  koī  bhī  pas-e-dāstān  boltā  hai
samā.atoñ  pe  fusūñ  taarī  hone  lagtā  hai
vo  aisī  shaan  se  urdu  zabān  boltā  hai
usī  ko  haq  hai  tirī  anjuman  meñ  bolne  kā
tire  huzūr  jo  shāyān-e-shān  boltā  hai
use  salīqa  nahīñ  hai  baḌoñ  meñ  baiThne  kā
jo  merī  guftugū  ke  darmiyān  boltā  hai
na  jānūñ  maiñ  ye  tamāshā  hai  kitnī  der  abhī
bhañvar  ke  aage  mirā  bādbān  boltā  hai
maiñ  be-tarah  ke  ka.ī  giit  gungunātā  huuñ
safar  meñ  jaise  koī  sārbān  boltā  hai