Asghar Mehdi Hosh

kaam kuchh to lena tha apne dida-e-tar se

Asghar Mehdi Hosh

Jaunpur, Uttar pradesh, India

kaam kuchh to lenā thā apne dīda-e-tar se
kaaT diiñ ka.ī rāteñ āñsuoñ ke ḳhanjar se
niiñd hai thakan sī hai silvaTeñ haiñ yādeñ haiñ
kitne log uTheñge sub.h mere bistar se
jān-būjh kar ham ne bādbān khole haiñ
kis ko ab palaTnā hai be-karāñ samundar se
bhīgnā muzir to thā phir bhī kaisī lazzat thī
jab ghaTā.eñ uTThīñ thiiñ maiñ qarīb thā ghar se
aaj to havā bhī hai tez barf-bārī bhī
yuuñ bhī niiñd kyā aatī ik shikasta chādar se
jab bhī pā.eñge mauqa.a phuul toḌ hī leñge
bachche ruk nahīñ sakte bāġhbān ke Dar se
ai nashāt ke ziino tum ko yaad to hogā
ik salām kah denā us madīna-aḳhtar se
Top Urdushayar.com