Noor Fatima Noor

is qadar kin jazba-e-ulfat ki parda-poshiyan

Noor Fatima Noor

is qadar kiiñ jazba-e-ulfat kī parda-poshiyāñ
Das rahī haiñ aaj ḳhud mujh ko mirī ḳhāmoshiyāñ
kaun se sahrā ke kāñTe bichh ga.e haiñ raah meñ
kaun sī manzil pe aa kar luT ga.iiñ gul-poshiyāñ
kyā huā vo soz-e-furqat aur surūr-e-intizār
dil se terī yaad kī din raat ham-āġhoshiyāñ
har ik aahaT par tire aane kā hotā thā gumāñ
ḳhaak meñ sab mil ga.iiñ haiñ vo hama-tan-goshiyāñ
phīkī phīkī ho ga.ī hai ab tirī tahrīr bhī
ranjish-e-paiham ne terī chhīn liiñ mai-noshiyāñ
bad-gumānī kī havā se gul na ho sham-e-vafā
zehn-o-dil meñ ho rahī haiñ aaj ye sargoshiyāñ
umr bhar kā ġham banī hai 'nūr' vo pal kī ḳhushī
hosh ke aalam meñ bhī chhāne lagīñ be-hoshiyāñ
Top Urdushayar.com