Ibn e Insha

us sham wo ruKHsat ka saman yaad rahega

Ibn e Insha

Phillaur, Punjab, India

1927-1978
us shaam vo ruḳhsat kā samāñ yaad rahegā
vo shahr vo kūcha vo makāñ yaad rahegā
vo Tiis ki ubhrī thī idhar yaad rahegī
vo dard ki uTThā thā yahāñ yaad rahegā
ham shauq ke shole kī lapak bhuul bhī jaa.eñ
vo sham-e-fasurda kā dhuāñ yaad rahegā
haañ bazm-e-shabāna meñ hama-shauq jo us din
ham the tirī jānib nigarāñ yaad rahegā
kuchh 'mīr' ke abyāt the kuchh 'faiz' ke misre
ik dard kā thā jin meñ bayāñ yaad rahegā
āñkhoñ meñ sulagtī huī vahshat ke jilau meñ
vo hairat o hasrat kā jahāñ yaad rahegā
jāñ-baḳhsh sī us barg-e-gul-e-tar kī tarāvat
vo lams-e-azīz-e-do-jahāñ yaad rahegā
ham bhuul sake haiñ na tujhe bhuul sakeñge
tū yaad rahegā hameñ haañ yaad rahegā
Top Urdushayar.com