Ibn e Insha

kis ko par utara tumne kis ko par utaroge

Ibn e Insha

Phillaur, Punjab, India

1927-1978
kis ko paar utārā tum ne kis ko paar utāroge
mallāho tum pardesī ko biich bhañvar meñ māroge
muñh dekhe kī mīThī bāteñ sunte itnī umr huī
aañkh se ojhal hote hote jī se hameñ bisāroge
aaj to ham ko pāgal kah lo patthar pheñko tanz karo
ishq kī baazī khel nahīñ hai kheloge to hāroge
ahl-e-vafā se tark-e-ta.alluq kar lo par ik baat kaheñ
kal tum in ko yaad karoge kal tum inheñ pukāroge
un se ham se pyaar kā rishta ai dil chhoḌo bhuul chuko
vaqt ne sab kuchh meT diyā hai ab kyā naqsh ubhāroge
'inshā' ko kisī soch meñ Duube dar par baiThe der huī
kab tak us ke baḳht ke badle apne baal sañvāroge
Top Urdushayar.com