Ibn e Insha

dil kis ke tasawwur mein jaane raaton ko pareshan hota hai

Ibn e Insha

Phillaur, Punjab, India

1927-1978

dil kis ke tasavvur meñ jaane rātoñ ko pareshāñ hotā hai

ye husn-e-talab baat nahīñ hotā hai mirī jaañ hotā hai

ham terī sikhā.ī mantiq se apne ko to samjhā lete haiñ

ik ḳhaar khaTaktā rahtā hai siine meñ jo pinhāñ hotā hai

phir un galī meñ pahuñchegā phir sahv sajda kar legā

is dil pe bharosā kaun kare har roz musalmāñ hotā hai

vo dard ki us ne chhīn liyā vo dard ki us baḳhshish thā

tanhā.ī rātoñ meñ 'inshā' ab bhī mirā mehmāñ hotā hai

Top Urdushayar.com