Ibn e Insha

jangal jangal shauq se ghumo dasht ki sair mudam karo

Ibn e Insha

Phillaur, Punjab, India

1927-1978
jañgal jañgal shauq se ghūmo dasht kī sair mudām karo
'inshā'-jī ham paas bhī lekin raat kī raat qayām karo
ashkoñ se apne dil ko hikāyat dāman par irqām karo
ishq meñ jab yahī kaam hai yaar vale ke ḳhudā kā naam karo
kab se khaḌe haiñ bar meñ ḳhirāj-e-ishq ke liye sar-e-rāh-guzār
ek nazar se sāda-raḳhū ham sāda-diloñ ko ġhulām karo
dil kī matā.a to luuT rahe ho husn kī dī hai zakāt kabhī
roz-e-hisāb qarīb hai logo kuchh to savāb kā kaam karo
'mīr' se bai.at kī hai to 'inshā' miir kī bai.at bhī hai zarūr
shaam ko ro ro sub.h karo ab sub.h ko ro ro shaam karo
Top Urdushayar.com