Ibn e Insha

aur to koi bas na chalega hijr ke dard ke maron ka

Ibn e Insha

Phillaur, Punjab, India

1927-1978
aur to koī bas na chalegā hijr ke dard ke māroñ kā
sub.h kā honā dūbhar kar deñ rasta rok sitāroñ kā
jhūTe sikkoñ meñ bhī uThā dete haiñ ye aksar sachchā maal
shakleñ dekh ke saude karnā kaam hai in banjāroñ kā
apnī zabāñ se kuchh na kaheñge chup hī raheñge āshiq log
tum se to itnā ho saktā hai pūchho haal bechāroñ kā
jis jipsi kā zikr hai tum se dil ko usī kī khoj rahī
yuuñ to hamāre shahr meñ aksar melā lagā nigāroñ kā
ek zarā sī baat thī jis kā charchā pahuñchā galī galī
ham gumnāmoñ ne phir bhī ehsān na maanā yāroñ kā
dard kā kahnā chīḳh hī uTho dil kā kahnā vaz.a nibhāo
sab kuchh sahnā chup chup rahnā kaam hai izzat-dāroñ kā
'inshā' jī ab ajnabiyoñ meñ chain se baaqī umr kaTe
jin kī ḳhātir bastī chhoḌī naam na lo un pyāroñ kā
Top Urdushayar.com