Mohammad Abid Ali Abid

hail hai hijab-e-sharm-o-haya didar to kya guftar to kya

Mohammad Abid Ali Abid

1946

haa.il hai hijāb-e-sharm-o-hayā dīdār to kyā guftār to kyā

mub.ham haiñ ishāre sab us ke inkār to kyā iqrār to kyā

altāf-o-karam bārish bhī jo mujh pe kare sansār to kyā

jab us ne na pūchhā haal mirā daryāft kareñ aġhyār to kyā

hai dar-ba-darī qismat merī shorīda-sarī le chal

taskīn-e-dil-e-mahzūñ ke liye gulzār to kyā kohsār to kyā

haiñ azm-e-musāfir ke aage ḳhatrāt masāfat hech bahut

manzil talab hai dil meñ agar ho rāhguzar dushvār to kyā

tañg aa ke mohabbat tark na ham garche rahe nākām sadā

sarshār the lazzāt-e-hasrat-o-ġham se hote bhalā bezār to kyā

Top Urdushayar.com