Etibar Sajid

ghar ki dahliz se bazar mein mat aa jaana

Etibar Sajid

Multan, Punjab, Pakistan

1948
ghar kī dahlīz se bāzār meñ mat aa jaanā
tum kisī chashm-e-ḳharīdār meñ mat aa jaanā
ḳhaak uḌānā inhīñ galiyoñ meñ bhalā lagtā hai
chalte phirte kisī darbār meñ mat aa jaanā
yūñhī ḳhushbū kī tarah phailte rahnā har sū
tum kisī dām-e-talabgār meñ mat aa jaanā
duur sāhil pe khaḌe rah ke tamāshā karnā
kisī ummīd ke mañjdhār meñ mat aa jaanā
achchhe lagte ho ki ḳhud-sar nahīñ ḳhuddār ho tum
haañ simaT ke but-e-pindār meñ mat aa jaanā
chāñd kahtā huuñ to matlab na ġhalat lenā tum
raat ko rauzan-e-dīvār meñ mat aa jaanā
Top Urdushayar.com