bande  zamīn  aur  āsmāñ  sarmā  kī  shab  kahāniyāñ
sachchī  haiñ  ye  rifāqateñ  baaqī  haiñ  sab  kahāniyāñ
ḳheme  ukhaḌ  ujaḌ  ga.e  aisī  havā-e-shab  chalī
kirneñ  zamīñ  pe  likh  ga.iiñ  kaisī  ajab  kahāniyāñ
vus.at-e-dasht  ke  makīñ  vaadī  meñ  kuuch  kar  ga.e
shāḳhoñ  pe  barf  likh  ga.ī  naġhma-ba-lab  kahāniyāñ
chāñd  kī  ḳhaak  aa  ga.ī  pairoñ  tale  hayāt  ke
aisī  kaThin  rivāyateñ  aisī  kaDhab  kahāniyāñ
jauhar-e-haq  nahīñ  milā  mujh  ko  kisī  kitāb  meñ
miTTī  se  sun  rahā  huuñ  maiñ  ālī-nasab  kahāniyāñ
vus.at-e-koh-o-dasht  ho  shahr  o  nagar  kā  gasht  ho
merā  safar  hikāyateñ  merā  adab  kahāniyāñ
shahroñ  ko  kyā  ḳhabar  ki  maiñ  kaun  huuñ  kis  fazā  meñ  huuñ
likhnī  haiñ  ek  din  mujhe  sabr-talab  kahāniyāñ