Etibar Sajid

aankhon se ayan zaKHm ki gahrai to ab hai

Etibar Sajid

Multan, Punjab, Pakistan

1948

āñkhoñ se ayaañ zaḳhm gahrā.ī to ab hai

ab aa bhī chuko vaqt-e-masīhā.ī to ab hai

pahle ġham-e-furqat ke ye tevar to nahīñ the

rag rag meñ utartī huī tanhā.ī to ab hai

taarī hai tamannāoñ pe sakrāt aalam

har saañs rifāqat tamannā.ī to ab hai

kal tak mirī vahshat se faqat tum the āgāh

har gaam pe andesha-e-rusvā.ī to ab hai

kyā jaane mahaktī huī sub.hoñ meñ koī dil

shāmoñ meñ kisī dard ra.anā.ī to ab hai

dil-soz ye taare haiñ to jāñ-soz ye mahtāb

dar-asal shab-e-anjuman-ārā.ī to ab hai

saf-basta haiñ har moḌ pe kuchh sañg-ba-kaf log

ai zaḳhm-e-hunar lutf-e-pazīrā.ī to ab hai

Top Urdushayar.com