Etibar Sajid

aane wali thi KHizan maidan Khaali kar diya

Etibar Sajid

Multan, Punjab, Pakistan

1948
aane vaalī thī ḳhizāñ maidān ḳhālī kar diyā
kal havā-e-shab ne saarā lawn ḳhālī kar diyā
ham tire ḳhvāboñ kī jannat se nikal kar aa ga.e
dekh terā qasr-e-ālī-shān ḳhālī kar diyā
dushmanoñ ne shust bāñdhī ḳhema-e-ummīd par
dostoñ ne darra-e-imkān ḳhālī kar diyā
bāñTne niklā hai vo phūloñ ke tohfe shahr meñ
is ḳhabar par ham ne bhī gul-dān ḳhālī kar diyā
le gayā vo saath apne dil kī saarī raunaqeñ
kis qadar ye shahr thā gunjān ḳhālī kar diyā
saarī chiḌiyāñ uḌ ga.iiñ mujh ko akelā chhoḌ kar
mere ghar kā sehn aur dālān ḳhālī kar diyā
Diary meñ saare achchhe sher chun kar likh liye
ek laḌkī ne mirā dīvān ḳhālī kar diyā
Top Urdushayar.com