tilism-zār-e-shab-e-māh  meñ  guzar  jaa.e
ab  itnī  raat  ga.e  kaun  apne  ghar  jaa.e
ajab  nasha  hai  tire  qurb  meñ  ki  jī  chāhe
ye  zindagī  tirī  āġhosh  meñ  guzar  jaa.e
maiñ  tere  jism  meñ  kuchh  is  tarah  samā  jā.ūñ
ki  terā  lams  mirī  ruuh  meñ  utar  jaa.e
misāl-e-barg-e-ḳhizāñ  hai  havā  kī  zad  pe  ye  dil
na  jaane  shāḳh  se  bichhḌe  to  phir  kidhar  jaa.e
maiñ  yuuñ  udaas  huuñ  imshab  ki  jaise  rañg-e-gulāb
ḳhizāñ  kī  chaap  se  be-sāḳhta  utar  jaa.e
havā-e-shām-e-judā.ī  hai  aur  ġham  lāhaq
na  jaane  jism  kī  dīvār  kab  bikhar  jaa.e
agar  na  shab  kā  safar  ho  tire  husūl  kī  shart
faroġh-e-mahr  tirā  e'tibār  mar  jaa.e