yuuñ  samāyā  hai  ki  ab  sar  se  nikalne  kā  nahīñ
maiñ  jo  chāhūñ  bhī  to  ik  Dar  se  nikalne  kā  nahīñ
maiñ  ne  jo  ḳhauf  piroyā  thā  ragoñ  meñ  apnī
aisā  baiThā  hai  ki  andar  se  nikalne  kā  nahīñ
baad  koshish  ke  natīja  ye  nikālā  maiñ  ne
zindagī  maiñ  tire  chakkar  se  nikalne  kā  nahīñ
khīñch  laate  haiñ  haqīqat  meñ  havādis  varna
aadmī  ḳhvāb  ke  mehvar  se  nikalne  kā  nahīñ
sar  paTaḳhtā  nahīñ  pinjre  meñ  parinda  yūñhī
shauq-e-parvāz  kabhī  par  se  nikalne  kā  nahīñ
ik  saḌak  aur  mirā  āTHvāñ  dasvāñ  chakkar
aur  mujhe  ilm  hai  vo  ghar  se  nikalne  kā  nahīñ
apne  andar  yuuñ  chhupā.e  haiñ  sanam  patthar  ne
but  koī  tesha-e-āzar  se  nikalne  kā  nahīñ
ġham-e-daurāñ  bhī  hai  yuuñ  jaise  mirā  yaum-e-hisāb
maiñ  to  duniyā  meñ  bhī  mahshar  se  nikalne  kā  nahīñ
dhoñs  detā  hai  ye  sūraj  mujhe  har  shaam  'hasan'
vo  jo  Duubā  to  samundar  se  nikalne  kā  nahīñ