dard  in  dinoñ  yuuñ  chehra-e-ālam  pe  sajā  hai
har  shaḳhs  ne  jaise  mirā  ġham  baañT  liyā  hai
har  aan  tire  tan  meñ  vo  jaadū  sā  rachā  hai
jo  vasl  kā  lamha  hai  vo  sahrā  kī  ghaTā  hai
ik  umr  ke  ba.ad  aaj  yakāyak  jo  mile  ho
vo  sail-e-masarrat  hai  ki  dil  Duub  gayā  hai
vo  baat  jo  sun  paao  to  pahroñ  tumheñ  taḌpā.e
ik  lamhe  kī  tanhā.ī  ne  jo  mujh  se  kahā  hai
ho  dost  ki  dil  koī  chhupā.e  nahīñ  chhuptā
har  choT  ke  pahlū  meñ  ik  ā.īna  lagā  hai
jañgal  the  junūñ-ḳhez  hue  shahr  bhī  vīrāñ
sannāTe  meñ  har  qarya-e-dil  jaag  gayā  hai
kyā  kis  se  gilā  kījiye  ḳhud  ham  nahīñ  apne
duniyā  kā  'zahīr'  in  dinoñ  kyā  haal  huā  hai