jamāl  pā  ke  tab-o-tāb-e-ġham  yagāna  huā  hai
mire  liye  ye  zar-e-gul  charāġh-e-ḳhāna  huā  hai
ram-e-ḳhayāl  harīf-e-ram-e-zamāna  huā  hai
tulū-e-sub.h-e-tamannā  payambarāna  huā  hai
nayan  meñ  dil  kī  gulābī  kā  aks  jhuum  rahā  hai
dukhoñ  kī  dhuum  hai  aalam  sharāb-ḳhāna  huā  hai
bas  ek  jot  jagī  hai  kahīñ  koī  bhī  nahīñ  hai
mizāj-e-vasl  ba-har-rañg-e-ārifāna  huā  hai
kuchh  aur  dhuup  mire  ġham  kuchh  aur  ashk  jhamā-jham
ghanā  huā  hai  ye  jañgal  to  shāmiyāna  huā  hai
mire  nigār-e-gurezāñ  tujhe  maiñ  kaise  bhulā  duuñ
ki  tū  parastish-e-asnām  kā  bahāna  huā  hai
jagat  jagat  mire  jī  ko  junūñ  uḌaa.e  phire  hai
tirī  tarah  tirā  ġham  āfat-e-zamāna  huā  hai
ye  chhāñv  chhāñv  na  rovo  'zahīr'  dil  ko  sambhālo
Dhalī  hai  shaam  magar  yuuñ  koī  divāna  huā  hai