falak  se  chāñd  tāroñ  ko  utartā  dekhtā  huuñ  maiñ
hamesha  jāgtī  āñkhoñ  se  sapnā  dekhtā  huuñ  maiñ
mujhe  ma.alūm  hai  ġhurbat  abhī  banñe  nahīñ  degī
banā  kar  roz  lekin  ghar  kā  naqsha  dekhtā  huuñ  maiñ
hamārī  be-ma.āshī  ne  hameñ  ye  din  dikhā.e  haiñ
javāñ  chehroñ  pe  bhī  aksar  buḌhāpā  dekhtā  huuñ  maiñ
mujhe  mil  jaa.eñ  shāyad  kuchh  mire  bichhḌe  hue  sāthī
isī  ummīd  pe  duniyā  kā  mela  dekhtā  huuñ  maiñ
mile  koī  bhalā  kyoñ  mujh  se  'anjum'  aa.ina  le  kar
hamesha  dūsroñ  ko  ḳhud  se  achchhā  dekhtā  huuñ  maiñ