DhūñDiye  din  raat  haftoñ  aur  mahīnoñ  ke  baTan
lā-makāñ  meñ  kho  ga.e  haiñ  in  makīnoñ  ke  button
sirf  chhūne  se  nazar  aatā  hai  manzar  kā  fareb
dekhne  meñ  ḳhush-numā  haiñ  ābgīnoñ  ke  button
daras-e-taqvā  dene  vaale  kī  qabā  par  dekhiye
sone  chāñdī  aur  chamkīle  nagīnoñ  ke  button
ab  garebāñ  chaak  kā  matlab  batāne  ke  liye
kholne  paḌte  haiñ  akasr  āstīnoñ  ke  button
jab  sadā-e-kun  kā  uglā  marhala  aa  jā.egā
āsmāñ  ke  kaaj  meñ  hoñge  zamīnoñ  ke  button
koī  hai,  varna  ye  duniyā  kis  qadar  barbād  ho
pāgaloñ  ke  haath  meñ  haiñ  sab  mashīnoñ  ke  button