ye  ġhalat  hai  ye  saal  Thiik  nahīñ
har  ghaḌī  kā  malāl  Thiik  nahīñ
zindagī  ik  ḳhayāl-ḳhāna  hai
aap  kā  ye  ḳhayāl  Thiik  nahīñ
phuul  ko  dhuul  kī  zarūrat  hai
is  qadar  dekh-bhāl  Thiik  nahīñ
girne  vaale  ne  sar  uThā  ke  kahā
in  sitāroñ  kī  chaal  Thiik  nahīñ
ā.īna-sāz  Thiik  kahtā  hai
shīshagar  kī  misāl  Thiik  nahīñ
saath  chalte  raho  magar  ḳhāmosh
is  safar  meñ  savāl  Thiik  nahīñ
aap  ke  nāḳhunoñ  se  yaad  aayā
mere  zaḳhmoñ  kā  haal  Thiik  nahīñ
itnī  chhoTī  sī  baat  par  'imrran'
itnā  gahrā  malāl  Thiik  nahīñ