hamārī  mohabbat  numū  se  nikal  kar  kalī  ban  ga.ī  thī  magar  thī  numū  meñ
nigāhoñ  se  bāteñ  kiye  jā  rahe  the  aTaktī  jhijaktī  huī  guftugū  meñ
na  de  ham  ko  ilzām  tū  ye  ki  ham  ne  tirī  chaah  meñ  kuchh  kiyā  hī  nahīñ  hai
makāñ  khod  Daale  zamāñ  noch  Daale  kahāñ  aa  ga.e  ham  tirī  justujū  meñ
mujhe  ye  milā  hai  mujhe  vo  milā  hai  mujhe  sab  milā  hai  magar  ye  gila  hai
maiñ  kyā  māñgtā  thā  ye  kyā  mil  gayā  hai  ki  sab  mil  gayā  hai  tirī  aarzū  meñ
kahīñ  ḳhushbuoñ  kī  zarūrat  paḌī  to  tumheñ  soch  kar  saañs  khīñche  ga.e  haiñ
na  jaane  kahāñ  se  chalī  aa  rahī  hai  ye  ḳhushbū  tumhārī  hamāre  lahū  meñ
bhaTaktā  phirā  maiñ  idhar  se  udhar  aur  udhar  se  idhar  aur  kidhar  se  kidhar
dhuāñ-dār  mahfil  na  jaam  o  subū  meñ  maza  jo  hai  vo  hai  faqat  apnī  ḳhū  meñ