Anwarul Hasan Anwar

ab tere hijr mein yun umr basar hoti hai

Anwarul Hasan Anwar

ab tire hijr meñ yuuñ umr basar hotī hai
shaam hotī hai to ro ro ke sahar hotī hai
kyuuñ sar-e-shām umīdoñ ke diye bujhne lage
kitnī vīrān tirī rāhguzar hotī hai
be-ḳhayālī meñ bhī phir un kā ḳhayāl aatā hai
vahī tasvīr mire pesh-e-nazar hotī hai
ye avadh hai ki jahāñ shaam kabhī ḳhatm nahīñ
vo banaras hai jahāñ roz sahar hotī hai
apne barbād nasheman ko bhulā detā huuñ
jab sulagte hue gulshan pe nazar hotī hai
barq girtī hai to ḳhirman ko jalā jaatī hai
kab use mehnat-e-dahqāñ kī ḳhabar hotī hai
haa.e phūloñ ke muqaddar pe bhī dil rotā hai
zindagī un kī bhī kāñToñ meñ basar hotī hai
āriz-e-ġhuncha-o-gul aur dahak uThte haiñ
ashk-e-shabnam meñ bhī tāsīr-e-sharar hotī hai
maiñ vo mahrūm-e-mohabbat huuñ ki 'anvār' mirī
jo duā hai vahī mahrūm-e-asar hotī hai
Top Urdushayar.com