ab  tire  hijr  meñ  yuuñ  umr  basar  hotī  hai
shaam  hotī  hai  to  ro  ro  ke  sahar  hotī  hai
kyuuñ  sar-e-shām  umīdoñ  ke  diye  bujhne  lage
kitnī  vīrān  tirī  rāhguzar  hotī  hai
be-ḳhayālī  meñ  bhī  phir  un  kā  ḳhayāl  aatā  hai
vahī  tasvīr  mire  pesh-e-nazar  hotī  hai
ye  avadh  hai  ki  jahāñ  shaam  kabhī  ḳhatm  nahīñ
vo  banaras  hai  jahāñ  roz  sahar  hotī  hai
apne  barbād  nasheman  ko  bhulā  detā  huuñ
jab  sulagte  hue  gulshan  pe  nazar  hotī  hai
barq  girtī  hai  to  ḳhirman  ko  jalā  jaatī  hai
kab  use  mehnat-e-dahqāñ  kī  ḳhabar  hotī  hai
haa.e  phūloñ  ke  muqaddar  pe  bhī  dil  rotā  hai
zindagī  un  kī  bhī  kāñToñ  meñ  basar  hotī  hai
āriz-e-ġhuncha-o-gul  aur  dahak  uThte  haiñ
ashk-e-shabnam  meñ  bhī  tāsīr-e-sharar  hotī  hai
maiñ  vo  mahrūm-e-mohabbat  huuñ  ki  'anvār'  mirī
jo  duā  hai  vahī  mahrūm-e-asar  hotī  hai