bhūlne  vaale  tujhe  yaad  kiyā  hai  barsoñ
dil-e-vīrāñ  ko  yuuñ  ābād  kiyā  hai  barsoñ
saath  jo  de  na  sakā  rāh-e-vafā  meñ  apnā
be-irāda  bhī  use  yaad  kiyā  hai  barsoñ
ġham  jahāñ  meñ  vo  rafīq-e-abadī  hai  apnā
jis  ne  har  haal  meñ  dil  shaad  kiyā  hai  barsoñ
bhuul  saktā  huuñ  bhalā  gardish-e-daurāñ  tujh  ko
roz  tū  ne  sitam  ījād  kiyā  hai  barsoñ
kab  giraftār-e-ḳham-e-ġham-e-hijrāñ  na  rahā
kab  tire  dard  ne  āzār  kiyā  hai  barsoñ
ab  bhī  'anvār'  pashemānī-e-ḳhātir  ho  na  kyuuñ
umr-e-rafta  tujhe  barbād  kiyā  hai  barsoñ