husn  har  rañg  meñ  maḳhsūs  kashish  rakhtā  hai
vo  tabassum  kī  adā  ho  ki  sitam-koshī  ho
zindagī  kaif-e-musalsal  meñ  guzar  jaatī  hai
chashm-e-maḳhmūr  kī  mastī  ho  ki  mai-noshī  ho
tere  aane  kī  masarrat  se  sahar  ho  raushan
aur  rātoñ  kī  tire  ġham  meñ  siyah-poshī  ho
jāzbiyyat  to  ba-har-hāl  huā  kartī  hai
husn  kī  bū-qalamūnī  ho  ki  ḳhush-poshī  ho
koī  aalam  ho  najāt-e-ġham-e-daurāñ  ke  liye
maut  ho  niiñd  ho  be-hoshī  ho
shukr  'anvār'  jafāoñ  pe  na  kyūñkar  kījiye
kyūñki  shikva  ho  to  ehsān-frāmoshī  ho