sukūn-e-dil  na  mayassar  huā  zamāne  meñ
na  yaad  rakhne  meñ  tum  ko  na  bhuul  jaane  meñ
hamesha  vus.at-e-aflāk  meñ  rahā  hai  ġham
kahāñ  qayām  hai  shāhīñ  kā  āshiyāne  meñ
urūj-e-tīrgī-e-shab  se  ho  sahar  paidā
yahī  nizām  hai  duniyā  ke  kār-ḳhāne  meñ
shafaq  ke  ḳhuun  kī  surḳhī  bhī  ho  ga.ī  shāmil
sahar-ba-dosh  sitāroñ  ke  jhilmilāne  meñ
abhī  bahār  kā  kuchh  aur  intizār  karo
ki  thoḌī  der  hai  kaliyoñ  ke  muskurāne  meñ
ye  vo  matā-e-girāñ  hai  jo  mil  nahīñ  saktī
sukūn-e-dil  kī  tamannā  na  kar  zamāne  meñ
kabhī  qarār  dil-e-be-qarār  ko  bhī  mile
ilāhī  kaun  kamī  hai  tire  ḳhazāne  meñ
kisī  se  kuchh  bhī  shikāyat  karūñ  to  kyā  hāsil
milā  na  koī  vafā-āshnā  zamāne  meñ
guloñ  kī  bazm  hī  rañgīniyāñ  ba-dosh  nahīñ
har  ek  naqsh  hasīñ  hai  nigār-ḳhāne  meñ
meñ  rauñdtā  huā  kāñToñ  ko  yuuñ  guzartā  huuñ
ki  rah-ravoñ  ko  suhūlat  ho  aane  jaane  meñ
vo  ek  tum  ho  ki  tum  ko  kisī  ne  kuchh  na  kahā
vo  ek  ham  haiñ  ki  rusvā  hue  zamāne  meñ
tire  ḳhayāl  se  aatī  nahīñ  jo  lab  pe  mire
vahī  to  kaam  kī  ik  baat  thī  fasāne  meñ
vo  iztirāb-e-musalsal  kā  lutf  kyā  jaane
musībatoñ  se  jo  ghabrā  gayā  zamāne  meñ
kuchh  andalīb  kā  ḳhuun  jigar  bhī  hai  shāmil
guloñ  kī  bazm  kī  rañgīniyāñ  baḌhāne  meñ
hamīñ  to  lazzat-e-āzār  ke  nahīñ  ḳhūgar
unheñ  bhī  lutf  sā  aatā  hai  kuchh  satāne  meñ
qusūr  un  kī  nigāhoñ  kī  shoḳhiyoñ  kā  bhī  hai
hamārī  jur.at-e-shauq-o-talab  baḌhāne  meñ
rahegā  muddatoñ  charchā  mirā  zabānoñ  par
kisī  kī  bazm  se  'anvār'  uTh  ke  jaane  meñ