aayā  na  āb-e-rafta  kabhī  jūebār  meñ
kaise  qarār  aa.e  dil-e-be-qarār  meñ
hañgām-e-sub.h-e-īd  meñ  bhī  vo  mazā  kahāñ
jo  lutf  mil  gayā  hai  shab-e-intizār  meñ
bijlī  girī  thī  kab  ye  kisī  ko  ḳhabar  nahīñ
ab  tak  chaman  meñ  aag  lagī  hai  bahār  meñ
jab  tak  bikhar  na  jaa.e  tirī  zulf-e-ambarīñ
nik.hat  kahāñ  se  aa.e  nasīm-e-bahār  meñ
fursat  milī  hai  dil  ko  nasheman  kī  fikr  se
phir  barq  kūñdne  lagī  har  shāḳh-sār  meñ
phir  kis  kī  yaad  aa.ī  ki  'anvār'  āj-kal
motī  piro  rahā  huuñ  garebāñ  ke  haar  meñ