Afzal Ahmad Syed

kuchh aur rang main tartib-e-KHushk-o-tar karta

Afzal Ahmad Syed

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1946

kuchh aur rañg maiñ tartīb-e-ḳhushk-o-tar kartā

zamīñ bichhā ke havā oḌh ke basar kartā

gul o shaguft ko aapas meñ dastaras detā

aur aa.ine ke liye aa.ina sipar kartā

charāġh-e-kohna haTātā fasīl-e-murda se

giyāh-e-ḳhām pe shabnam dabīz-tar kartā

vo niim nān-e-ḳhunuk aab aur sag-e-ham-nām

maiñ zer-e-sabz-shajar apnā mustaqar kartā

vo jis se shahr dīvār be-navishta hai

maiñ us shāḳh-e-tahayya ko be-samar kartā

maiñ chūmtā huā ik ahd-nāma-e-mansūḳh

kisī qadīm samundar meñ rahguzar kartā

Top Urdushayar.com