ye  nahr-e-āb  bhī  us  kī  hai  mulk-e-shām  us  kā
jo  hashr  mujh  pe  bapā  hai  vo  ehtimām  us  kā
sipāh-e-tāza  bhī  us  kī  saf-e-nigāh  se  hai
safā-e-sīna-e-shmshīr  par  hai  naam  us  kā
amaan  ḳhema-e-ram-ḳhurdgāñ  meñ  baaqī  hai
ki  nā-tamām  hai  ik  shauq-e-qatl-e-ām  us  kā
kitāb-e-umr  se  sab  harf  uḌ  ga.e  mere
ki  mujh  asiir  ko  honā  hai  ham-kalām  us  kā
dil-e-shikasta  ko  laanā  hai  rū-ba-rū  us  ke
jo  mujh  se  narm  huā  koī  band  daam  us  kā
maiñ  us  ke  haath  se  kis  zaḳhm  meñ  kamī  rakkhūñ
shurū-e-nāz  bhī  us  kā  hai  iḳhtitām  us  kā