Ghulam Mustafa Faraz

hunar se jae kisi ke na fan se jata hai

Ghulam Mustafa Faraz

hunar se jaa.e kisī ke na fan se jaatā hai

lahū daaġh kahīñ pairahan se jaatā hai

ba-sad adā nigah-e-sīm-tan se jaatā hai

jigar ke paar har ik tiir san se jaatā hai

numūd-e-teġh-e-badan ma.arke jauhar hai

dikhā ke piiTh kahīñ koī ran se jaatā hai

ragoñ meñ soz-e-ġham-e-ishq se lahū hai ravāñ

so vahshī aage nikal kar hiran se jaatā hai

mizha pe hotā hai raushan charāġh-e-tanhā.ī

asīr-e-zulf agar anjuman se jaatā hai

na koī tesha na sañg-e-girāñ na jū-e-shīr

junūn-e-ishq dil-e-kohkan se jaatā hai

Top Urdushayar.com