nigāh  ā.īna  hai  aks-e-musta.ār  huuñ  maiñ
hayāt  qarz  hai  mujh  par  to  zer-e-bār  huuñ  maiñ
pighal  na  jaa.e  anā  shiddat-e-tamāzat  se
girāñ  hai  tab-e-ḳharīdār  kam-ayār  huuñ  maiñ
savād-e-shab  meñ  ik  āvāz  par  huuñ  garm-e-safar
asīr-e-zulf  na  āvāra-e-bahār  huuñ  maiñ
hinā.ī  hāthoñ  se  chehra  chhupā  rahā  hai  vo
shikast-e-ahd  pe  bhī  tahniyat-guzār  huuñ  maiñ
jo  pau  phaTe  to  naved-e-sahar  mile  'ishrat'
hazār  rātoñ  se  sar-tā-pā  intizār  huuñ  maiñ