in  añdheroñ  se  pare  is  shab-e-ġham  se  aage
ik  na.ī  sub.h  bhī  hai  shām-e-alam  se  aage
dasht  meñ  kis  se  kareñ  ābla-pā.ī  kā  gilā
rahnumā  koī  nahīñ  naqsh-e-qadam  se  aage
saaz  meñ  kho.e  rahe  soz  na  samjhā  koī
dard  kī  Tiis  thī  pāzeb  kī  chham  se  aage
ai  ḳhoshā  azm-e-javāñ  zauq-e-safar  josh-e-talab
hādse  baḌh  na  sake  apne  qadam  se  aage
yaad  hai  lazzat-e-āzār-e-mohabbat  ab  tak
dil  ko  miltā  thā  sukūñ  mashq-e-sitam  se  aage
surḳh-rū  hai  jahāñ  tārīḳh-e-do-ālam  'ishrat'
ḳhuun  Tapkā  hai  vahīñ  nok-e-qalam  se  aage