uThāo  lauh-o-qalam  hādse  tamām  likhūñ
ravāñ  sadī  meñ  huā  hai  jo  qatl-e-ām  likhūñ
nasīm-e-sub.h  ibārat  hai  terī  ḳhushbū  se
sabā  kī  narm-ravī  ko  tirā  ḳhirām  likhūñ
ulajhtī  sāñsoñ  kī  tafsīr  ḳhūñ-chakāñ  naġhma
sukūt  TuuT  bhī  jaa.e  to  kis  ke  naam  likhūñ
harīm-e-zāt  farozāñ  hai  jis  ke  partav  se
usī  jhalak  ko  ufuq  par  mah-e-tamām  likhūñ
koī  to  sub.h-e-rifāqat  se  kar  sakūñ  ta.abīr
koī  to  shaam  tire  saath  apne  naam  likhūñ
chhalak  rahī  hai  subūhī  qadam  kī  laġhzish  se
siyāh  chashm  kī  gardish  ko  daur-e-jām  likhūñ
ajab  ishāre  haiñ  nīchī  nigāh  ke  'ishrat'
vo  jitne  rañj  bhī  de  ḳhud  ko  shād-kām  likhūñ