ġhuncha  jo  sar-e-shāḳh  chaTakte  hue  dekhā
pahlū  meñ  bahut  dil  ko  dhaḌakte  hue  dekhā
mehñdī-rache  hāthoñ  ne  uThāyā  hī  thā  ghūñghaT
ik  shola-e-javvāla  lapakte  hue  dekhā
vo  tere  bichhaḌne  kā  samāñ  yaad  jab  aayā
biite  hue  lamhoñ  ko  sisakte  hue  dekhā
bhūlā  nahīñ  ehsās  tire  lams  kī  ḳhushbū
tanhā.ī  meñ  anfās  mahakte  hue  dekhā
khīñche  hue  ab  tiir  kamāñ  meñ  hai  vo  bālak
āġhosh  meñ  jis  ko  na  humakte  hue  dekhā
jab  jab  bhī  charāġhoñ  kī  laveñ  ham  ne  baḌhā.īñ
kyā  kyā  na  havāoñ  ko  sanakte  hue  dekhā